Namaz Islam k 5 stoonon main se e ek hai or iski pabandi insan ko Allah k kareeb tar kr deti hai. Aqeedat se parhi gai namaz main Insan or Allah k darmyan tamam parde hata dye jate hain. Roze jaza-o-saza namaz k bare main poocha jaye ga. Kuch log namaz qayem karne ki ehmiat se aashna nai hain or namaz k doran b is ehsas se door hote hai k ye wakt insan ka or Allah ka hai or duniya k kamon ko yad rakhte hain. Namaz ki adayegi Hazrat Muhammad SAW k bataye hue tareekon k mutabik honi chahye or un sb baton ka dhayan rakhna chahye jin k lye Hazrat Muhammad SAW ne Rahnumaee farmaee hai. Yahan Namaz ki Sunnaton ko ek sath paish kia gya hai. Apni namaz ko Allah ki pasandeeda namaz banaiyee or Allah ko or uske Rasool ko razi kijyee.
No comments:
Post a Comment
WRITE COMMENTS,I WILL TRY HELP YOU.